Apni Website ki Traffic kaise Badhaye – Blog Traffic kaise Badhaye

Apni Website ki Traffic kaise Badhaye 2020 – Blog Traffic kaise Badhaye – High Traffic kaise laye or apne blog ya website ko popular kaise kare ? iss post me hamne btaya hai ki kaise aap apne blog ya website par traffic la sakte hai or kaise website ko google me ache se rank karwa sakte hai taki apki website ya blog par jyada se jyada visitors aaye or apke dawara likhi hui posts ko padhe . 

Apni Website ki Traffic kaise Badhaye - Blog Traffic kaise Badhaye


Duniya me ik din me lakho karodo websites or blogs bante hai or india me bhi blogs bahut tezi se bante ja rahe hai lekin saflata usi ko milti hai jo ache se mehanat karta hai or posts ko thik se likhta hai or post me har chiz ko ache se samjhata hai . Dosto agar aap kaam lagan se karte hai toh yakeen maniye aapko success zrur milega bhale hi isme time lage . 



Blogging ya website se earning badhane ke liye bhi blog par traffic aan zruri hai bina traffic ke blog ya website se paisa nahi kamaya ja sakta . agar apki website par visitors aayege tabhi apki website ko log janege or app achi earning kar sakoge . kuch log aise hai jo blog ya website toh bana lete hai lekin traffic na aane par blog par posts dalna band kar dete hai or blogging me success nahi kar pate . 

iss post me ham janege ki – 

> Blog par traffic kaise laye
> website par traffic kaise laye
> blog par kaise visitors laye
> website par kaise visitors laye
> earning kaise badhaye 

Apni Website ki Traffic kaise Badhaye – Blog traffic kaise badhaye – 

Agar app apne blog ya website ki traffic badhana chahte hai toh apko kuch baato ka dhayan rakhna padta hai fir chahe aap free ki hosting use kare ya paid hosting use kare aap apni post ko google par rank karwa sakte hai or fir apne aap apke blog par views aane shuru ho jayege . 

Sabse pehle apko SEO sikhna hoga . SEO matlab Search engine optimization . seo apki post ko google me pehle page par rank karwane me madad karta hai agar apki post seo friendly hogi toh aapki post google me rank karegi . 

Toh aayie jaan lete hai ki kaise ham apni website ya blog ki traffic badha sakte hai 

Apni Website ki Traffic kaise Badhaye - Blog Traffic kaise Badhaye

1. Apni post ke liye sabse alag ( unique ) title choose kare . google par pehle se mojood article ke title ko use na kare . 

Example – aap nokia 9 ke upar post likhna chahte hai or google par pehle se nokia 9 se post hai toh aap nokia 9 pros and cons all about nokia 9 jaisa title use kar sakte hai . 

2. Apni post me hamesha ache se jaankari de matlab yeh ki thoda sa batakar fir agle topic par na badhe . apni post me vistaar se jaankari de . 

3. Google keyword planner use kare or jis bhi keyword par aap post likhna chahte hai uska competition check kare or uss keyword par kitne searches ik mahine me ho rahe hai woh dekhle or fir keywords ko apni post me use kare . is se apki post ki ranking badhegi . 

4. Apni post me jyada images use na kare jitni jarurat ho utni hi images use kare . google ko likha hua content chayie na ki images or yaad rakhe ki aap copyright images use na kare . 

5.  images me apni post ka title zrur likhe ise se ranking me madad milegi or hamesha images par alt text or caption ko fill kare . 

6. apni post me internal links or external links ka upyog kare matlab yeh ki apni dusro posts ke bare me bhi logo ko bataye . taki log apki sate se dusri post bhi padh sake . 

7. post ko hamesh 1000 se jyada words me likhe or vistar me jaankari de taki reader ko apki post padhkar fayda ho . 

8. post likhne ke baad apni post ko facebook , twitter , pinterest or baki social platforms par share jarur kare is se traffic me bahut farak padta hai kafi loh hai jo post likh kar share nahi karte jinki wajah se traffic nahi pahonchta . 

9. hamesha apne readers ki raah jan ne ki koshish kare or unse achi relation banaye chahe woh comments ke jariye ho ya fir kisi bhi tarah . 

10. hamesha comments ko reply kare or apne readers se pooche ki woh kis tarah ki posts apke blog me padhna pasand krte hai . 

11. dusro ke blog par bhi comment kare is se backlinks milte hai or jiski madad se apko google par ranking me madad hoti hai . 

12. apni site ya blog ko google search console me search submit zarur kare agar aap site google search console me submit nahi karoge toh apko poori mehnat bekar hai bina site submit kiya apki post google par dikhayi nahi degi . bing yaho jaise search engines me bhi aap apni site ko submit kare

13. site map search console me submit kare 

14. Hamesha apni site ya blog ke liye fast theme ka use kare . apki site ka loading time fast hona chahyie . 

15. post me bina matlab ya faltu ki cheeze dalkar readers ko gumrah na kare apni post ko simple rakhe . 

16. kisi or ki post kabhi bhi copy na kare apna content khud likhe . google copyright content promote bilkul nahi karta is se apki site ya blog ki ranking me dikkat ho sakti hai isliye behtar hoga ki aap khud post likhe . 

Iss post me aapne jaana ki kaise aap apne website ya blog ki traffic badha sakte hai or kaise jyada se jyada vistors apni site par la sakte hai .  agar app upar diye gaye tips ko follow karoge toh zarur apki website ya blog par traffic aayegi bas mehnat karte rahiye or apne blog par posts dalte rahiye . 

Also read – Godaddy se domain kaise kharide 

chori hua mobile kaise dhunde