Phone Se Virus kaise Hataye मोबाइल फ़ोन से वायरस कैसे निकाले

Phone Se Virus kaise Hataye – मोबाइल फ़ोन से वायरस कैसे निकाले Aaj iss article me ham janege ki ham kaise apne mobile phone se virus hata sakte hai or apne mobile ki life or jyada long kar sakte hai . iss article me virus remove karne wale appsvirus hatane ke tarike ke bare me bataya gaya hai . Aapne apne android mobile se virus nikal sakte ho .

Phone Se Virus kaise Hataye – मोबाइल फ़ोन से वायरस कैसे निकाले

Phone Se Virus kaise Hataye मोबाइल फ़ोन से वायरस कैसे निकाले

kya app bhi apne mobile phone se virus hatana chahte hai ? hamesha ke liye virus ko apne mobile se remove karna chahte hai ? Toh chaliye jaan lete hai ki hame kin kin baato ka dhayann rakhna chahyie. dosto mobile me virus aana bahut common bat hai lekin koi bhi insaan nahi chahta ki uske mobile phone me virus aaya or mobile slow ya kharab hojaye iske liye zruri hai ki ham kuch tarike aazma le taki hamara mobile phone surakshit rahe . 

Dosto ajkal lagbhag sabke paas mobile hai kuch ke paas mehanga hai toh kuch ke pass mehnaga . mehanga sasta hone se mobile par koi asar nahi padta agar koi farak hota hai toh bas features me hota hai . kehne ka matlab yeh ki virus saste phones me bhi aa sakta hai or mahange phones me bhi . 

aayie jaan lete hai ki virus hota kya hai ? or kaise yeh apke mobile phone ko kharab karta hai ?

virus ik aisa tool hai jo ki apke mobile me jagah bana bana kar apke mobile ki speed ko slow kar deta hai or kuch virus toh mobile ko poori tarah kharab kardete hai . 

Virus kaha se aata hai ?

Dosto virus kahi se bhi aa sakta hai internet se, email se or ya kisi or ke phone se . 

Apps Se virus aa sakte hai kuch aise aap hote hai jo ki trustes sources wale nahi hote or unknown source se download kiye hue hote hai toh isliye jab bhi aap koi app download kare toh tursted source hi download kare or settings me ja kar install apps from unknown sources ko off ya disable kar de .

Internet se virus aana bahut aasan hai jab aap internet ka istemaal karte hai toh kabhi kabhi apne aap hi kuch sites khul jati hai or na chahte hue bhi close karne ki koshish me ham usspar click kar baithte hai or virus hamare mobile phone me aajata hai .

Email se bhi virus aa sakta hai kabhi kabhi hamari email id par kisi anjaan email id se messages aate hai messages me links ya photos hote hai or jab ham unhe open ya download karte hai to woh photo nahi milta or mobile me virus aa jata hai isliye behtar hai ki aap anjaan email ko open karne se pehle hi delete kar de . 

Kisi or ke mobile se virus mobile me aa sakta hai . aajkal ham movies ya songs ik mobile se dusre mobile me share karte rehte hai ya kabhi kabhi ham usb wali wire lagakar mobile se pendrive connect karte hai jiski wajah se hamare mobile phone me bhi virus ajata hai . Mobile Phone ko iss se bachana bahut Zaruri Ho jata hai.

Phone Se Virus kaise Hataye – मोबाइल फ़ोन से वायरस कैसे निकाले 

Aap apne mobile phone se virus nikal sakte hai lekin kaise ? aayie jaan lete hai – 

Phone Se Virus kaise Hataye मोबाइल फ़ोन से वायरस कैसे निकाले

#1 . Antivirus software –

 antivirus softwares mobile or computer dono ke liya bana hai . antivirus software  aapke mobile ya computer ko scan karke virus ko delete ya remove kar deta hai jiski madad se apka mpbile phone ya computer fir se pehle ki tarah fast hojata hai . 

Aajkal antivirus softwares ko aap free me bhi download karsakte hai or bahut sare aise free antivirus hai jo ki virus remove kar dete hai lekin kuch aise bhi softwares hai jo bas batae hai ki apke phone me virus hai ki nahi lekin woh virus remove nahi karte . agar aap antivirus khareed kar use karte hai toh sahi rahega or agar free me download karke virus hatana chahte hai toh bhi aap mobile se virus hata sakte hai . 

#2. Mobile Reboot karke virus hataye 

Ap apne mobile ko reboot karke bhi virus ko nikal sakte hai lekin reboot karna mobile ke liye sahi nahi hai reboot karne se mobile ki life kamm ho jati hai . bar bar reboot karne se phone ke andar ke tools kaam karne band ho jate hai or aapka phone kharab ho jata hai ya thik se function nahi kar pata . 

#3. Factory Reset karke mobile se virus nikale 

Agar aap apne phone se virus hatana chahte hai toh app phone ko factory reset karke virus nikal sakte hai lekin aisa karne se pehle dhayan rake ki aap zaruri numbers or files kahi store ya likh kar rakh le kyuki factory reset karne ke baad phone se sabkuch delete ho jata hai or mobile phone ikdam naye mobile ki tarah hojata hai .

Aap Mobile me antivirus apps use kar sakte hai – Antivirus apps 

#1. Avast Antivirus 

#2. Northen Antivirus 

#3. Avg Antivirus 

#4. 360 Security 

Mobile me virus hai kaise pata chalega? वायरस है कैसे पता चलेगा ?

Jab mobile me virus aata hai toh aapka pbone slow hone lagta hai or kabhi kabhi phone chalte chalte hang ho jata ha. hang yani ruk jata hai or kuch der ke liye function karna band kardeta hai . 

वायरस से नुक्सान – Virus ki wajah se apka phone toh slow hoga hi uske sath sath apka memory card bhi kharab ho jayega or aap apni important files ko sambhal kar nahi rakh sakte . 

Also ReadAdhaar Card Online Update Kaise Kare – Adhaar Card Correction Hindi 2020

Best voice changer app for calling – Awaz Change Karne Wala app 2020

Toh dosto iss article me aapne sikha ki kaise aap apne mobile phone se virus hata sakte hai or apne mobile ki speed badha sakte hai . i hope ki aapke liye yeh article helpful hoga or aapko madad karega.

Agar Aap Awaz change karne ke liye Lkoi App Dhund Rahe Hai Best voice changer app for calling – Awaz Change Karne Wala app 2020 Read kare.