Punjab Police ki Bharti aa Chuki hai Jisme Punjab Police Sub Inspector or Constable ke pado ke liye Recruitment Karegi. Punjab Police Sub inspector ki Recruitment 5 Saal baad ho rahi hai. Aakhiri baar Punjab Police me 2016 me Recruitment Hui thi.
Punjab Police SI ke Forms aap Punjab police ki official site se 6 july se Bhar sakte hai or Forms 27 July 2021 tak bhare ja sakte hai. General Category ke liye 1500 Fees rakhi gayi hai jabki Dusri Categories ke liye Fees me Chutt Di gayi hai.
Dosto Aap me se Kayi Log aise hai Jo Punjab ke Rehne wale nahi hai ya Punjab me apne Padhai Nahi ki Lekin aap sabhi jante hai ki agar aapko Punjab me Kisi bhi tarah ki Sarkari Nokri karni hai to apko Punjabi Language matriculation pass karni hogi.
Tb ab Sawall aata hai ki Dusri States ke log kunjab Police SI ke liye Apply Kar sakte hai to Chaliye jaan lete hai.
Apply for Punjab Police Other States Candidates
Dosto Agar aapne Punjab me 10 Class matriculation pass nahi ki to Apke pass ik or Vikalp hai – Punjabi Language Additional Exam.
Dosto yeh Punjabi Language Additional exam Saal me 3 Baar Punjab Board ke Dwara karway jata hai jise clear karke aap Punjab me kisi bhi Sarkari Nokri ke liye aavedan kar sakte hai. Yeh Exam 10 Class Punjabi language ke equivalent hai.
Dosto achi Khabar yeh hai ki Punjab Police SI Recruitment ke Forms Nikal chuke hai or Punjab Police SI ka Exam August ke mahine Hoga to iss time apke liye bahut achi opportunity hai. Dosto aap 12 July 2021 Tak punjabi additional exam ke liye apply kar sakte hai Jiska Test July ke last me Hoga or Result bhi August ke Mahine me a jayega Dosto Pehle iss Exam ko Apply karne ki Last date 30 June thi lekin ab ise 12 July 2021 tak extend kar diya hai.
Iss se acha moka apke liye nahi banega , App Punjabi additional exam ko clear karke punajb Police Si ke exam ko agar clear karlete hai to Dosto apko Documents verification ke Daurann nikala nahi jayega kyuki aapne Punjabi additional Language ka exam Pass kiya hai.
August me Punjab Police SI ke Written exam Honge or Fir uska Result aayega isme 1-2 Mahine ka time lagega to Behtar yahi hoga ki aap Issi Mahine July me Hone wale Punjabi Additional exam ke liye apply Karde or Physical Test ke Dauraan apke pass sabhi Documents ho or apko Koi Recruitment se Bahar nahi nikal payega.
Punjabi Additional Exam Fees –
Dosto Punjabi Additional Exam ki Fees Rs. 3000 Hoti hai or yeh fees Non Refundable hoti hai to Dhyaan rahe ki aap Form Bharte samay Bahut Dhayan se form ko bhare or koi bhi galti na kare.
Apne Documents ko online Bhi Upload kare or By Pos aap PSEB office Mohali me bhi Bhej Sakte hai corona ke chalte Kuch Jagah par jyada logo ko allowed nahi kiya ja raha. aap iss baare me PSEB Mohali me phone Karke bhi pooch sakte hai.
Punjabi Language additional Exam Kab Hoga ?
Dosto 12 July Tak aap Apply kar sakte hai or Lagbhag July ke last me Iska exam hoga. 15 Din Pehle pesb ki site par notification aajyega to aap unki site check karte rahe or admit card bhi PSEB ki site se hi Download hoga.
Total Kitne Exam Honge ?
Punjabi Language Addition ke liye 2 paper Honge
- Paper A
- paper B
Dono Paper 75 Marks ke Honge or Apko 12 Marks each paper me lane pdege.
Punjabi Additional Language exam ik Din me Honge ?
Ji Nahi , Paper 2 Din me Hone
Pehle Din Punjabi A or Dusre din Punjabi B . Pratayek paper ka Samay 3 Ghante hoga.
Dosto agar apke Dimag me koi bhi Kisi bhi Tarah ka Doubt ho to Aap niche comment Box me Puch Sakte hai 🙂