Aadhaar Card Online Update Kaise Kare – Adhaar Card Correction Kaise Kare . iss post me aap janege ki kaise aap ghar baithe baithe Adhaar card ko update ya mistakes ko correct kar sakte hai . agar aap apne adhaar card ko update ya koi mistake sahi karna chahte hai toh yeh post apke liye helpful hogi .
Dosto adhaar card aaj ik pehchaan ke liya bahut hi zaruri document hai or ajkal har jagah adhaar card ki zarurat hoto hai chahe aap bank me khata khulana chahte ho ya or koi sarkari ya private suvidha lena chahte ho . agar apke paas adhaar nahi hai toh bahut sari dikkato ka samna karna padta hai or kabhi kabhi jaldi bazi me ham adhaar card bana lete hai or kuch details dena bhul jate hai ya fir spelling mistakes ho jati hai address me ya name me or galat name ki wajah se apko dikkato ka samna karna pad sakta hai . isliye jitni jaldi ho sake aap apna adhaar card update kariye or agar ko spelling galat hai toh use sahi karwayie .
Aap apne adhaar card ko online or offline dono tariko se update ya correction karwa sakte hai . agar aap offline adhar card update karwana chahte hai toh app apne area ke nazdeeki ke adhaar kendar me jakar details update karwa sakte hai . agar aap apna mobile number pehli baar adhaar card se jodna chahte hai toh apko pass ke adhaar kendar me jana padega yaha par apki details or ankho ko scan kiya jayega or fir apki details update ho jayegi apko adhar update karne ke liye fees deni padegi .
Aap adhar card ko online ghar baithe baithe bhi update ya correction karwa sakte hai . agar aap online adhar card update karwana chahte hai toh apke paas inn documents ki scan copy hona jaruri hai proof ke liye .
- Voter id
- Address proof
- Driving Licence
- passport etc
- Electricity bill
adhar ke bina bahut sare kaam aadhe adhure reh jate hai or fir apko problems jhelni padti hai adhar card cylinder, bank account , pan card or bhi bahut sare documents banane me madad karta hai .
Adhaar Card Online Update Kaise Kare – Adhaar Card Correction Kaise Kare
UIDAI adhar card banati hai or apko adhar card ko update ya koi correction karwane ke liye sabse pehle UIDAI ki site par jana hoga jo ki https://www.uidai.gov.in/ hai .
2. Adhaar update request online par click kare
3. uske baad apke samne kuch details khul jayegi uske nhiche proceed ke button ar click karde .
4. uske baad aap apna adhaar number dale or apke registered mobile number par otp aayega uss otp ko waha dal de .
5. agle page par apke samne dettails aa jayegi jaise ki apka naam . age , gender etc aap jis v detail ko update karna chahte ho uspar click kare or use update karde fir nect button par click karde .
6. details update karne ke baad dusre dosuments ki scan copy upload kare .
7. BPO service ko choose kare apne area ke .
8. aapapne update request number ko note ya kahi likh kar rakhle . yeh number baad me ststus dekhne ke kaam aayega .
Ab apka adhaar card 1-2 weeks me update ho jayega or aap adhar ka status uidai ki website par jakar dekh sakte hai or jab apka adhaar card update ho jayega toh ap uidai ki website se hi apna adhaar card download kar sakte hai .
Also read – chori hua mobile kaise khoje
Iss post me aapne jaana ki kaise aap ghar baithe baithe online apne adhar card ko update karwa sakte hai kaise aap spelling mistakes ko correction ke liye request kar sakte hai . i hope yeh post apko pasand aayi hogi . agra apke adhar card me koi bhi mistake hai ya koi detail missing hai toh aap zarur uss galti ko update karwa le . aapka aadhar hi apki pehchanna hai or yeh baat aap achi tarah se jante hai .